Saturday, March 10, 2007

daldal ka swad

giddh(vulture)--institutionalized

murda, haddi, laash par;
tham chuke swash par,
gidhho ka sehar basta tha..
mrityu par nirlajj hanste they.

pagli maut nachti,shringar kar jis shamsan me,
giddho ki jindagi,jhumti us registaan me.

haddiyon ki dher par,giddh ek bada hua,
jhapat ke nochne, maans ko khada hua.

par,
jhapat kapat,chikh se,
thi bhukh mit ti bhikh se.
giddh shayad thak chuka tha,
andhi nangi sikh se.

bhuki, sukhi giddh ankho me,
sahar hi basa tha,
sochta tha wah vivas,
daldal me kyun phansa tha..

botiyo ki khoj me,
jab umra biti soch ke...
giddh bhaga sehar ko ,
dur bahshiyo ke fauz se..

khopadi ki jhopadi,
chor ab sehar chala
chune un swapn ko..
saalo se tha jo pala..

naya jal- swadhin,shabd naye - arthhin,
chakta khaara jal naya,
chatpatata ban ke min.


swachandta ab ghutan thi,aur shalinta chubhan,
sabhyata me har ghari,karahta giddh man.

bechain baukhlaye giddh ne,
har chuke jiddh ne..
nirbal sehari par prahar kiya..
shamsan me lautne ko.
jindagi balidan diya








4 comments:

ankurindia said...

nice poem

crazy devil said...

thanks

Aditya said...

boy oh boy now this piece is simply protagonistic... ur visual projections r damn gud man....gud job

Aditya Goyal

falcon said...

bhavarth samjhane ka kasht karenge aap???

हम चुनेंगे कठिन रस्ते, हम लड़ेंगे

हम चुनेंगे कठिन रस्ते जो भरे हो कंकड़ों और पत्थरों से  चिलचिलाती धूप जिनपर नोचेगी देह को  नींव में जिसके नुकीले काँटे बिछे हो  हम लड़ेंगे युद्...