bhay ki lapteein davanal si,
shushk pattein bhasm kar badhti
jivit ,mrit ko nirdayi sa khakar
lapteein aur bhi upar chadteein.
bhukha jalta bhukh ke bhay se,
pyasa madiralaya ke may se,
lachar manushya prem me jalta,
lobhi jalta lobh ke ashray me.
bhay ki lapat ,hai chinta ki janani
aur chikh vyakulta se janm leti hai
komal adharon se chin nischalta
khokhle shabd aur swapn deti hai
astitva ka bhay dharm deta hai,
bhay samaj ka, sharm deta hai
bhid ka dar, jati ko pukare
jungle ka dar,sahar deta hai.
bhay ki davanal me jalkar,
marusthal me sabhi pade hai
apni rakh chal me laptein
bahar se dikhte bas hare hain.
bhaybhit bhid aawaj karti hai,
jhute astitwa ka roop madhti hai,
kohra hatane ki battein karti
badlo se par khud ko dhakti hai