Friday, August 04, 2006

bhukh.....har rang me

BHUKH.......

ye bhukh hoti sarp si,
muh phade khojti kisi bhuke ko,
chabati nahi, rulati nahi..
rah rah kar darati nahi;
Achanak kabhi nigal leti hai...
ye bhukh hoti sarp si ,
nigle hye shikar ko ,adhmara bana ugal deti hai.

bhukh hoti har kism ki,
kabhi pet ,to kabhi jism ki
daulat, ijjat, rasm ki,
sunsan ki ,chupchap ki, kabhi bhid me padchap ki..

bhukh hoti aag jaisi, phailti wo paglo si,
sapne dikhati indradhanushi,
phodta phir bulbulo si.
bhukh ka muh anant jaisa,
kabhi na bhar pata hai..
sukha , bhukha ,bada chota sab ko hi wo kahata hai

bhukh hoti har rang ki,
sukh shanti ki kabhi jang ki.
dosh ki kabhi rosh ki
kabhi dar to kabhi josh ki..


par bhayank bhukh to hai,
bhukh ki hi bhukh hona.
bhukh ki hi bhukh me thithurkar..
kambalon me jagna na sona.

swapn agar kho jaye bhanwar me,
bejan eet ke mrih sahar me,
tab bhukh jagti nahi hai,
jibh se dhakti nahi hai.

hai bhukh hoti dimko si,
khokhli kar jati hai,
par bhukh ho jise bhukh ki,
use us haal par chod,
bagal se chali jati hai


2 comments:

falcon said...

yaar tera post padh ke mujhe bhookh lag gayi..
I really c

falcon said...

I really can't appreciate poems..lol

हम चुनेंगे कठिन रस्ते, हम लड़ेंगे

हम चुनेंगे कठिन रस्ते जो भरे हो कंकड़ों और पत्थरों से  चिलचिलाती धूप जिनपर नोचेगी देह को  नींव में जिसके नुकीले काँटे बिछे हो  हम लड़ेंगे युद्...