Friday, January 05, 2007

prem...pida ya pyas

Prem pida me vyakul pratipal,
karah raha tha hridaya jab nischal,
bhuvan ke har jivit se poocha,
usne apni pida ka hal.

sarvagyani mayamayi manav,
shayad prit samajh naa paya
maya kahkar , prem ko usne
samvedna ka uljha jaal bataya

kashi kehta bhakti hai jeevan,
samaj samridhi ko kahta hai phan,
anubhav kehta samaj tum dekho,
yovan kehta itihas tum likho.

madhusala me sukhe pyale ko,
may ke liye rote dekha jab,
swas ko vyakul pathaar shila ko,
chir anant tak sote dekha jab..

murchit hridaya ...
prem paribhasa sun baanwaro sa hansta
ekant me kar maun ko dharan
prem raas me hai sajta

हम चुनेंगे कठिन रस्ते, हम लड़ेंगे

हम चुनेंगे कठिन रस्ते जो भरे हो कंकड़ों और पत्थरों से  चिलचिलाती धूप जिनपर नोचेगी देह को  नींव में जिसके नुकीले काँटे बिछे हो  हम लड़ेंगे युद्...