Thursday, August 31, 2006

andhi bhid ka dar

ARTH.....



ek swarn mrig ki chahat me kya?
shayad sabhyata apni mai bhul gaya,
ya vichar bhid ki sunkar mai..
us bojh ke niche jhul gaya...

janta hun,
andhi bhid hamesha thokar deti hai,
anshu, khun sab chus leti hai,
or jakhm per jo patti chadhati bhid,
kisi or ke khun se sani hoti hai...

haan par,
usi andhi basti ki bhid,
akele chalne par aankh dikhati hai,
mari padi wahi bhid..josh me aakar,
makhol banati hai..

par,
prasn mere astitva ka hai,
jo mrig ke piche dol raha hai,
par andhi bhid me parijano ko dekh,
mujhse har pal bol raha ki...

andhi basti ki andhi bhid to bas,
andho ko apnati hai
aham apna pura karne wo,
murdo ki bali chadhati hai
kya
aatma bech kar apna mai,
andhi bhid me banu saudagar ,
ya akant rah me dur kanhi,
swarn mrig ko khoju jakar

हम चुनेंगे कठिन रस्ते, हम लड़ेंगे

हम चुनेंगे कठिन रस्ते जो भरे हो कंकड़ों और पत्थरों से  चिलचिलाती धूप जिनपर नोचेगी देह को  नींव में जिसके नुकीले काँटे बिछे हो  हम लड़ेंगे युद्...